Home MimWorld eid ul adha ki namaz ka tarika in english

eid ul adha ki namaz ka tarika in english

126
eid ul adha ki namaz ka tarika
eid ul adha ki namaz

Eid ul Adha Ki Namaz Ka Tarika In English – Asslamo Alikum Dosto Is Post Mein Hamne Apko eid ul adha ki namaz ka Pura tarika Bataya Hai. eid ul adha ki namaz kaise padte hain . Agar Aap Bhi Janna Chahte Hai To Post Ko Puri Padhiye . Kyunki Is Post Mein Hamne Eid Ul Adha Ki Namaz Ki Niyat , Aur Namaz Kese Padhenge Sab Kuch Details Mein Bataya Gayaa Hai .

पोस्ट को हिंदी में पढ़ने के लिए क्लिक करे- Click Here 

Ek Baat Aur Yaad Rakhne Wali Hai , Ki Eid Ki Namaz Vajib Hoti Hai , Agar Kisi Karan Aap Eidgaah Nahi Jaa Paaye Aur Namaz Nahi Padh Paaye , Ya Eid ul Adha Ki Namaz Imam Ke Piche Nahi Padh Paye To Fir Apko 2 Rakaat Nafl Padhni Hai. Ya Chast Ki Namaz Padhni Hai , Eid ul Adha Ki Namaz Sirf Jamaat Se Hi Adaa Hogi.

Eid ul Adha Ki Namaz Ka Tarika In English

Sabse Pahle Jaan Lete Hai Eid ul Adha Ki Namaz Ki Niyat- 

eid ul adha ki namaz ki Niyat In English- 

Jab Eid ul Adha Ki Namaz Ki Takbeer Ho Jaye Tab Apko Ye Niyat Karni Hai 

Niyat Kee Mene 3 Rakaaat Namaz Wajib Eid-ul-Adha ki , May Jaaeez 6 Takbiro Ke , Waste Allah Taaala Ke , Piche Is Imaam Ke Muh Mera Kaabe Sharif Ki Taraf , 

Itna Man Mein Kahna Hai . Fir Imam Sahab AllahuAkbar Kahkar Hath Bandhe Tab Apko Bhi Dono Haath Kano Tak Uthakar AllahuAkbar Kahna Hai Aur Haath Band Lenaa Hai. 

Hath Bandhkar Sanaa Padhna Hai . 

Sanaa- Subhana Kalla Humma W Bihamdikaa W Taa’ala Jadduka Wla Ilaahaa Gairukaa.

Sanaa Padhne Ke Baad , Fir Hath Kano Tak Uthana Hai Aur AllahuAkabr Kahkar Haath Chor Dena Hai .

Fir Dusri Baar Bhi Hath Kano Tak Uthana Hai Aur AllahuAkabr Kahkar Haath Chor Dena Hai. 

Fir Tisri Baar Mein Hath Kano Tak Uthana Hai Aur AllahuAkabr Kahkar Haath Baand Lena Hai.

Iske Baad Imam Sahab Surah Fatiha Padhenge Aur Quran Sharif Ki Koi Surat Padhenge , Apko Dhyan Se Sunna Hai . 

Fir Imam Sahab Ke Piche Ruku Aur Sajda Kare Aur Dusri Rakaat Ke Liye Khade Ho Jaaye . Dusri Rakaat Mein Imam Sahab Fir Se Surah Fatiha Aur Quran Sharif Ki Koi Surat Padhenge . Jise Khamoshi Ke Saath Bina Hule Dule Sunna Hai .Kul Mikar Muktadi Ko Khamoshi Se Sunna Hai 

Note- Imam Sahab Ke Piche Jo Bhi Namaz [padhte Hai Unhe Muktdi Kahaa Jata hai . 

Surah Fatiha Aur Koi Surat Padhne Ke Baad Imam Sahab AllahuAkbar Kahkar Kanotak Haath Lejayenge Aur Fir Hath Chodenge . Muktadi Ko Bhi Aisa Hi Karna Hai .

Dusri Bar Bhi Dono Hath Kano Tak LeJana Hai Aur ALlhuAkbar Kahkar Chor Dena Hai, Fir Tisri Bar Bhi Dono Hath Kano Tak LeJana Hai Aur AllhuAkbar Kahkar Chor Dena Hai . Fir Chouthi Bar Jese Imam Sahab AllahuAkbar Kahe . Hame Ruku Mein Chale Jana Hai .

Fir Dusri Namaz Ki Tarah Hi Imam Sahab Ke Piche Ruku Aur Sajde Karna Hai  

Eid ul Adha Ki Namaz Ka Tarika In English

Note – Sabse Pahle Namaz Ki NIyat Allahuakbar Kahke Haath Bandhna Hai Fir Sana FIr 2 Bar Kano Tak Hath Uthakar Chodna Fir Tisri Bar Hath Uthakar Bandhna Uske Baad Suah Fatiha , Ruku Sajde, Fir Dusrii Rakat Mein Surah Fatiha Rukku Sjde , Fir 3 Bar Hath Kano Tak Uthakar Chorna . Uske Bad Chouthi Bar Mein Ruku Mein Jana , Fir Sajde Attihyat Aur Salaam . 

Namaz Mukammal Hone Ke Baad Khutba Hoga Jise Bine Hile DUle Khamoshi Ke Saath Sunaa Hai . Khutba Sunna Afjal Hai.

Note- Eid Ul Adha Ki Namaz Musafir Par , Kisi Beemar Par , Bahut Budhe Admi Par Aur Aurto Par Vajib Nahi Hai.

Read This Also – Fatiha Ka Tarika In English

Previous articleFatiha Ka Tarika In English
Next articleAyatul Kursi